Palia Kalan Weather

paliakalan.in

Tuesday 25 September 2018

Palia Kalan | All Details Of Palia Kalan In Hindi | Pin Code, Collages, Tehsil, Full Detail Here

Palia Kalan

Agar aap shanti aur nature ko kareeb se dekhna chahte hain to aap ek bar palia kalan jaroor visit kar sakte hain. Palia Kalan Uttar pradesh rajya ke Lakhimpur Kheri zila ka ek chhota sa town hai jo ki world famous Dudhwa Natioanl Park ke behad kareeb hai palia kalan famous places me ata hai. Palia Kalan Dudhwa Park se only 10 km door hai. Yahan ke vatavaran aur jungle, Animals, Bird etc. Ko dekhne ke liye door door se Indian and Foreigner tourist aate hain jo Palia me stay karke Nature ko nazdeek se dekhne ke liye jate hain.Nepal se ye town lagbhag 35-36 km door hai. Log nepal jate samay bhi jyadatar palia se dhangadi hote huye jate hain. Is town ke pass bahne wali Sharda River palia ki vegetation ko jivan pradan karti hai. Yahan par palia kalan hotels ki achhi facility hai, jahan tourist ko 


palia kheri
Palia's Railway Station

History:



Itihas me palia kalan history ka sabse pahle ka description Sir Ekbal shing ke Surryan farm ke liye hai. Jisne lagbhag 1947-1960 me ek chhota sa airport banane me apni Jameen dekar Airport ka nirman karwaya tha. Ye area pahle khairigadh me tha lekin ab isko Shingahi ke naam se jana jata hai. Ye lagbhag Palia se 46-47 km door hai. Palia kalan India ke popular town me se ek hai.

Economics:

Is town ki majboot economy ki vajah yahan ke businessmen  aur kissan hain jo ki self dependent hai Aur apna work kadi mehnat se karte hain. Is liye Palia Kalan ki economy bahut mazboot hai. Yahan ke kissan Ganne ki kheti jyada karte hain jo Palia ke Bajaj hindusthan chini mil factory ko sell karte hain. Ye bhi yahan ki economy ko kaphi mazboot karta hai.

Educatioan:

Yahan par English medium aur Hindi medium collage dono prakar ke kayi sare school hain jo apne student ko achhi siksha pradan karte hain. Yahan ek Degree Collage bhi hai jo B.A, B.COM, etc. Student ke liye Achha hai. Is town me (BaldevVaidic Vidyalaya Inter Collage Palia Kalan) High School and Intermediate student ke liye best hai. English medium collages Doon International School Palia Kalan, The IndianAcademy Palia Kalan, Gurukul Academy Palia Kalan, Aur bhi School hai.



Transport Facilities Of Palia:

Yahan logon ki Economy achhi hone ke karan Yahan ki parivahan suvidha bahut achhi hai. Yahan Bus, Train dono chalti hain. Yahan se aap Bareilly, Lucknow, Delhi, Aur bhi kahin aap ja sakte hain. Palia Kalan me aap kahin se bhi visit kar sakte hain aur kahin bhi aap ja skate hain. Dudhwa National Park Safari ke liye log Palia me hi rukte hain.

palia tehsil
Tehsil palia kalan kheri

Geography:

Ye town north ka sabse most tehsil palia kalan kheri hai. Palia kalan ke east me Nighasan, west me Sampurna Nagar, north me Dudhwa Natioanal Park, Nepal border, and Gouriphanta, south me Gola, etc. Hain.  Palia ki seema west me pilibhit se judti hai. Ye town tarai ilake me ata hai.



Palia Kalan ki basic details :


Towns
Palia Kalan  2(Bhira, Sampurna Nagar)
District
Lakhimpur Kheri
Tehsil
Palia Kalan
Pin Code/ Zip Code
262902
Division
Lucknow
State
Uttar Pradesh(U.P.)
Language
Hindi, English, Urdu, Nepali, Bhojpuri, Awdhi, And Desi Language
Total Population
2,65,786 (Lagbhag)
Number Of Villages
152
Vehicle Registration
UP 31
Area Of Tehsil
515-516Km. Sq.
Number Of Blocks
2(Bijua, Palia Kalan)
Number Of Police Station(Post)
6(Palia, Dudhwa Chouraha, Banshi Nagar, Khajuriya, Paraspur, Majhgai)
Number Of Police Station
5(Palia kotwali, Bhira, Chandanchouki, Gouriphanta, Sampurna Nagar)
Sugar Factory
2(Sampurna Nagar, Palia Kalan)
Rivers
3(Muhana, Sharda, Nakahua(Suheli)
Degree Collages
4
Government School (Collage)
6
Telephone Code
5871
Bus Stop
3(Roadways, Blue Horse Private Bus Stop, Palia Bus Stop)
Railway Station
3(Tikuniya, Palia, Bhira)
Govt. Hospital
1
Post Office
1
Loksabha Member
Mr. Ajay Kumar Mishra(Teni Bhaiya)
Vidhan Sabha Member
Mr. Romi Sahni
Palia Kalan Chairman
Mr. Mahmood

Palia Kalan ke bare me aur kuchh janne ke liye ya koi query ho to Aap comment box men zaroor likh kar batayen. Agar aapko is blog post se koi Complaint Ya koi Suggestion to aap hamse Contact Page par jakar Feedback de sakte hain Ya comment kar sakte hain.
Thanks.

No comments:

Post a Comment