Palia Kalan Weather

paliakalan.in

Saturday 29 December 2018

caneup.in | गन्ना पर्ची कैलेंडर 2020 | Ganna Parchi Calendar Kaise Dekhe

Ganna Parchi Kaise Dekhe

Note : गन्ना पर्ची कैलेंडर का नया वेबसाइट caneup लिंक नीचे दिया गया है.

Hello friends, Mill factory chalna jaise hi start hoti hain to hame apni mill factory ganna parchi ke bare me jankari prapt karne ke liye ganna calendar ki jaroorat hoti hai. samay samay par parchiyon ke aane va kitni parchiyon ka toul ho gaya hai iskee jankari ke liye bhi hame ganna parchi calendar ki jaroorat padti hai.
ganna parchi kaise dekhe

Kayi logo ko ganne ka parchi calendar kaise dekhe iske bare me nahi pata hota hai. To aayiye friends jante hai ki sugar mill ganna calendar kaise dekha jata hai.

Sugar Mill Ganna Parchi Calendar Kaise Nikale

Friends ye jo main aapko calendar nikalne ke bare me jo jankari doonga wo kewal UP (Uttar Pradesh) ke liye hai.
Note : गन्ना पर्ची कैलेंडर का नया वेबसाइट caneup लिंक नीचे दिया गया है.
Ganna parchi calendar ke dekhne ke liye main aapko bta doo ki agar aapki sugar mill factory Bajaj Hindusthan ltd. hai to aapko ganna calendar ke liye bhlcane.com par jana hoga.

ganna calendar kaise nikale

Wahan aapko kuchh is prakar ki screen show hogi. Apko isme calendar wale button par click karna hoga. Jahan aapko apni sugar mill factory selection ke option show honge. Isme aapki koun si factory aapke ariya wali hai use select kar le.

Select karne ke baad aapko ek Login wala button show hoga us par click kar ke kissan login par click karke apna village se ya phir aap graam code va kissan code dalkar login kar sakte hain.

Login karne ke baad aapko ek dashboard show hoga jisme neeche calendar par click karke dekh sakte hai.

Note : गन्ना पर्ची कैलेंडर का नया वेबसाइट caneup लिंक नीचे दिया गया है.

Ganna Calendar Society Ki Site Se Kaise Dekhe.

Ganna parchi calendar society ke website se bhi dekha ja sakta hai. Kayi baar aisa hota hai ki bhlcane wali website jyada busy ya nahi chalti hai. To aap Society wali website par jakar dekh sakte hai.

Jiska link me neeche de doonga us link par click karke aap us site par chale jayenge. Wahan apni society va factory ko select karke jaisa aapko pahle bataya gaya tha. Theek usi prakar aap ismen bhi calendar pata kar sakte hain Lekin ismen aapko us bank account ke last ke 4 digit dalne honge jo aapke Ganne satte me link ho.

Link : - http://canesociety.com/default_1.aspx [Expired]

CaneUp.in 2019-2020


New Link Updated [CaneUp.in ]

Neche diye gaye link par click karke aapke screen pe kuchh is tarah page khul kar aa jayega.
upcane.in 2020 | New Link Ganna Parchi calendar

Isme aap apni district select kare aur uske baad apani factory select kar ke chahe to search by code par click karke search kar sakte hai ya apne village ka name dalkar kisaan ke name se bhi search kar ke parchi calendar dekh sakte hai.

CaneUp.in Link

https://enquiry.caneup.in/GrwEnquiry.aspx

Jankari kaisee lagi aaoko comment box me jaroor bataye. Agar aapko hamse koi sawal hai to aap hamse comment karke pta sakte hai.

Thanks.

3 comments:

  1. धन्यवाद, आपका लेख मुझे अच्छा लगा. मेने भी गन्ना पर्ची कैलेंडर पर एक लेख लिखा है, आशा करती हू आपको मेरे लेख में दी गई जानकारी पसंद आई होगी.

    ReplyDelete